जिन्दगी का करते सौदा जिन्दगी को देखते हैं
कौडियों के दाम बिकते आदमी को देखते हैं
साँसों के हैं हम मुलाजिम, बंदिशें हैं धडकनों पे
मौत के ही हुक्म से अब हर किसी को देखते हैं
वो शजर भी मुद्दतों से आँधियों का मुन्तजिर है
शूखती शाखों में जिसकी बेबसी को देखते हैं
कौन होगा तख्त पर कल, आज किस की है हुकूमत
महलों के कोनो से टूटी चूडियाँ मिलतीं हैं जब जब
हम अमीरी के बदन में, भुखमरी को देखते हैं
लड़ रहा है काफिरों से वो अकीदत का मुकदमा
के यकीं की खोल कर अब हर कडी को देखते हैं
करवटों में बीती रातें, सिलवटें हैं ख्वाहिशों पर
रात भर हम ज़प्त की पेचीदगी को देखते हैं
मिलती है बेचैन दिल को चैन की तब इक खुमारी
जब कभी भी हम पलट कर दोस्ती को देखते हैं
शक्ल अपनी, आईने में तेरे, जब भी आई है तो
उम्मीदों के ज़र्द साये रौशनी को देखते हैं
‘माह’ तेरे दिल की मिट्टी शख्त कैसे हो गई है??
रात में तो आज भी हम नम ज़मी को देखते हैं
***********************************************
Zindagi ka karte sauda zindagii ko dekhte haiN
Kaudiyon ke daam bikte aadmii ko dekhte haiN
saanson ke hain hum mulaazim, bandishen hain dhadkano pe
Maut ke hi hukm se ab har kisii ko dekhte haiN
Wo shajar bhi muddaton se aandhiyon ka muntazir hai
ShuuKHti shaaKHon mein jis ki bebasii ko dekhte haiN
kaun hoga taKHt par kal, aaj kis ki hai hukuumat
aye siyaasat hum to teri tiSHnagii ko dekhte hain
mehlon ke kono se tooti chuudiyan milti hain jab jab
hum amiirii ke badan mein, bhukhmarii ko dekhte haiN
lad raha hai kaafiron se wo aqiidat ka mukadma
ke yaqeeN ki khol kar ab har kadii ko dekhte haiN
Karwaton mein biitii raaten, silwaten hain khwaahishon par
Raat bhar hum zapt ki Pechiidgii ko dekhte hain
Milti hai bechain dil ko chain ki tab ik KHumaarii
Jab kabhi bhi hum palat kar dosti ko dekhte haiN
Shaql apni, aaiene mein tere, jab bhi aayi hai to
Ummiidon ke zard saaye roushnii ko dekhte haiN
‘Maah’ tere dil ki mitti shaKHt kaise ho gayi hai??
Raat mein to aaj bhi hum num zamii ko dekhte haiN